Friday, 26 February 2016

DAY 771 - Aligarh is dignified


Apurva Asrani likhi, Hansal Mehta directed Aligarh kahani hai university ke Marathi Professor Sirras ki. Sirras, apne pariwar se door, campus ke staff hostel mein rehte hain aur Marathi sahitya ke alava, Lata Mangeshkar ke gaano mein ruchi rakhte hain.

Ek raat, Sirras ke kamre mein ek haadsa hota hai, jiske baad Sirras ki zindagi hamesha ke liye badal jaati hain…
Aligarh ko hum shehar ki kaahnai keh sakte hain aur naitikta ki kahani keh sakte hain. 
Ye shayad pehli eklauti sachi ghatna hai, jo ek saath bohat saare muddein uthati hai – vyavsayik muddein, samajik muddein, legal issues, moral issues aur sab se aham, vyaktigat muddein – yaane right to privacy!
Film ka plus:  film ka courageous subject, director Hansal Mehta ka sensitive treatment aur saare performances -Public prosecutor, Siras ke vakil Ashish Vidyarthi aur channel reporter, Rajkumar Rao.  Film ka minus: film slow hai, serious hai aur uncomfortable bhi!! Phir bhi, Aligarh dekhni chahiye, director Hansal Mehta ke thehrav aur hero Mano Bajpayee ke outstanding performance ke liye. Bajpayee Sirras ki karuna aur akelepan ko iss tarha se apna lete hain, ki jab hum theatre se bahar nikalte hain, toh Professor Sirras ko apne saath lekar aate hai. Aligarh ko Big Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars.

No comments:

Post a Comment