Viacom produced aur Nishikant Kamath directed Drishyam, Japanese film, Devotion of Suspect X se prerit hai.
Iske Malyalam adaptation mein, Mohanlal ne kaam kiya hai aur Tamil adaptation mein, Kamal Haasan ne.
Kahani ke do protagonists hain, film library chalane wala Vijay/ Ajay Devgan aur Goa ki sabse sakht IPS officer Aarti/ Tabu.
Film ka first half, plot aur characters establish karta hai aur behad dull aur neeras hai. Kahani interesting banti hai, second half mein, jab Tabu entry leti hai.
Film ka minus film ka pace, presentation aur kuch hadh tak, unconvincing characters!
Ajay ke pariwar mein paise ki kummi hain, magar unke rehan sehan mein nazar nahi aati.
Tabu professional hai magar, usse jazbati dikhana director zaroori manta hai.
Film ka plus, film ki supporting cast Rajat Kapoor aur IPS officer ke assistant, Inspector Gaitonde.
Singham se bilkul alag image mein, Ajay Devgan, kirdaar se zyaada film ka sandesh hai.
Satya-asatya / dharm-adharm ka nirnay kaun karta hai? Humare sanjog… ya phir humara zameer…?
Drishyam dekhni chahiye, Tabu ke liye…Uska gussa…uska dard…uski nirasha…uski aankhon se bayaan hoti hain!
Do drishtikon ko pesh karti Drishyam ko Big Entertainment Ratings milte hai 3 stars.
Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya