Friday, 17 July 2015

Bajrangi Bhaijaan in Being Human- DAY 622



S K Films produced aur Kabir Khan directed Bajrangi Bhaijaan, Uttar Pradesh ke Pawan Chaturvedi ki kahani hai.

Pawan Chaturvedi padhai mein sust aur kushti mein nirbal hai magar Bajrangbali ke pakke bhakt hai aur koi galat kaam nahi karte!


 Ek din, ek anjaan 6 saal ki bachi, Pawan ko yuhin raah chalet mil jaati hai aur usse zero se hero bana deti hai.
Film ka sabse bada plus Vyjayendra Pradad ki dil choone wali kahani. Iske alava film ka sandesh, saare kirdaar aur saare rishtey.
Film ka minus bas itna hai ke har kirdaar kuch zyaada hi achha hai. Film thodi si kum ‘feel good’ ho sakti thi…
Ya thodi chotti ho sakti thi…Ya Kareena Kapoor ka role thoda lamba ho sakta tha…
Ya climax thoda complicated ho sakta tha…
Magar shayad ye hi film ki khubi hai, ki ismein saadgi hai, aadarsh hai, manavta hai.
Hindustan Pakistan ko lekar bohat saari filmein bani hain, kuch dard ki kahniyaan, kuch dushmani ki aur kuch dosti ki.

Director Kabir Khan koi bhi mudda na uthate hue, dharam aur desh ki saari lakeerein mita dete hain aur uss se bhi badi baat, dono deshon ke prati barabar insaaf karte hai!
Iss Eid release ko chaar chand lagate hain - Rasikka ki bhumika mein Kareena Kapoor, hosh udane waale Chand Nawaz, yaane Nawazuddin, subhanalla Salman Khan aur chand ka tukda khud, chotti Harshaali.
Humour aur action se bharpur Bajrangi Bhaijaan ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.

Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya




No comments:

Post a Comment