Friday, 10 July 2015

Bahubali is a Visual Treat- DAY 617



Dharma productions presented aur S S Rajamouli directed Bahubali- The Beginning kahani hai
raja maharajao ki.

Ye kahani hai rajmahal ke wafadar sevak, unke dushman aur mahal ki apni rajneeti ki.
Ismein sab kuch hai- haathi, ghoda , palki, barfeele parbat, mashal se roshan goofayein aur
maayavi teetliyaa.

Ye maayne nahi rakhta ki ye kaunsi sadi ki…kaunse rajya ki…kis raja ki kahani hai.
Maayne rakhta hai toh sirf  paak sundar nazaare aur director ki neeyat.

Film ka plus film ka ambitious scale, film ka grandeur, exotic locations aur Sabu Cyril ka
production design.
Iske alawa film ki seductive cinematography, special effects, maharani ki bhumika mein Raamya
aur sab se badkar, film ke shaurya hero, Bahubali yaane  Prabhas.

Film ka minus bas itna hai, ki film lambi hai, aur 2 part mein hai, isliye kahani adhuri hai!
Iske bawajood film dekhni chahiye, director SS Rajamouli ke liye.

250 crore ka budget aur 2.5 saal bana ne mein, teen bhashayein (Tamil, Telegu, Hindi ) mein release
hui Bahubali - Bhaarat ki sabse mehangi film hai.

Bohat dekh li Harry Potter series ab kuch desi swaad bhi ho jayein.

Bahubali – The Beginning ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.

Bhawana Somaaya/ @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment