Friday 12 June 2015

Humari Adhuri Kahani is fragrant but not effective-DAY 599



Vishesh Films produced aur Mohit Suri directed Humari Adhuri Kahani ko hum shaadi ki kahani keh sakte hain, prem kahani keh sakte hain aur  maa bĂȘte ki kahani bhi keh sakte hain.
Kolkatta ke Imperial Hotel se shuru hoti hui, Dubai aur South Africa ke haseen vaadiyon mein jhumti, Humari Adhuri Kahani ka nayak hotelier hain aur nayika, florist.
Ye uss daur ki kahani hain jab pyar nazron se bayaan hota tha aur rishte bezuban palte thhe isliye film ka first half shaant, sthirr aur sugundhit hain.
Film ke second half mein raftaar badalti hain, rishte jhoonjte hain, tootte hain, magar hamare dil ko nahi choote.
Writer Mahesh Bhatt apne kirdaaron ko khoob sajaate hain, magar ekjute kahani mein pirro nahi paate.
Ashcharya ki baat ye hain Arth jaisi film banane wale director, aurat ko lekar contradictory signals dete hain – kabhi dialogues aurat ke paksh mein hain aur kabhi behad regressive.
Film ka plus: film ke locations, sangit aur Emran hashmi, Raajkumar, Vidya Balan ke performances.
Agar aap ko phoolon se pyaar hain, Vidya Balan se pyaar hain toh barish ke mausam mein aap apni adhuri kahani poori kar sakte ho,
Humari Adhuri Kahani ko Big Entertainment Ratings milte hain 2.5 stars.

No comments:

Post a Comment