Friday 3 May 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 99

Talkies impress...Shootout shames!
03.05.2013, Mumbai

Shootout at Lokhandwala ke baad – Shootout at Wadala - director Sanjay Gupta ki doosri crime peshgi hai- jo author Hussain Zaidi ki kitab -Dongri to Dubai par adharit hain.

Ye kahani hai underworld mafias Dawood Ibrahim aur Manya Surve ki dushmani ki.

Jaise ki crime filmon mein hota hain – ismein bhi –gaali-galoch/ maar-peet/ dhamki-hafta/ extortion blackmail/ firing-encounter bharpur hain.

Fight master Tinnu Verma aapko - pathar/ kaanch/ loha/ lathi/ belt/ truck se behaal karte hai- aur kuch saansein bach gayi- toh villan ko golle ki machine mein pees dete hain.

Action mein agar kuch kasar reh gayi - toh dialogue writer Milap Zaveri- burri se burri zaban aur gaaliyon ka sehra pehnate hain.

Aur in dono se kuch zulm chuth jaye - iska khayal rakhte hain do extremely offensive aur vulgar item numbers jo besharmi ki saari hadhe paar kar dete hain.

Shootout - Wadala mein nahi - Theatre mein hota hain! Firing Actors par nahi -Audience par hoti hai!! Kapde Sophi aur Sunny Leone ke nahi - dekhne walon ke utarte hain!!!

Khoon se lathpath Shootout at Wadala ko Big Entertainment Ratings milta hai 1 star.

**

Viacom 18 produced Bombay Talkies cinema ke 100 saal ka celebration hain.

Aisa pehli baar hua hain - ki chaar directors ne milkar ek saath film banayi hain.

Chaar khayalat – chaar drishtikon – aur ek jasbaad!

Film ka message aur film ki intention har kahani /kirdaar / performance/ writer/ director aur vivaad se upar hai

Balke main kahungi ki hum khush naseeb hain - ki hum iss daur mein zinda hain - jahan cinema 100 saal ka utsav mana raha hain.

Directors Karan Johar/ Zoya Akhtar/ Dibakar Bannerjee/ Anurag Kashyap ki Bombay Talkies cinema ke sau saal ka tohfa hain - jisse hume – audience ko- sunehri yaad banakar rakhna hai…!

Bombay Talkies ko ye bohat hi special gesture ke liye – charon director mein baantkar - Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.

Bhawana Somaaya/ www.bhawanasomaaya.com

No comments:

Post a Comment