Gatsby is mesmerizing, Fundamentalist is thought provoking
17.5.2013, Mumbai
Iss hafte do International filmein release ho rahi hai – jisme Indian actors ne kaam kiya hai.
Baz Luhrman ki The Great Gatsby mein Amitabh Bachchan hai aur Mira Nair ki The Reluctant Fundamentalist mein chaar Indian actors –Shabana Azmi, Om Puri, Chandrachur Singh aur Naseerudin Shah ka beta - Imaad Shah.
Itna hi nahi, Fundamentalist ki editing Ab Tak Chappan ke director Shimit Amin ne ki hai aur film ki closing mein aakhri message, Javed Akhtar ne likha hai.
Dono filmein Big American Dream ke baare mein hain aur dono kitabon par bhi adharit hai.
Scot Fitzgrald ki Great Gatsby Long Island mein basse amiron ki 1920 ki kahani hai jab America pure josh mein tha! Mohsin Hamid ki The Reluctant Fundamentalist post 9/11- America Pakistani ke badalte rishte ki kahani hai.
The Reluctant Fundamentalist ka scoring point real incidents, real locations aur lajawab music hain. Great Gatsby ka scoring point film ki kahani aur presentation jo 3D mein aur bhi alishan lagta hai!
Dono filmein bahtareen likhi –edited - photographed aur performed hain.
Jay Gatsby ki bhumika mein hero Leonardo DiCaprio aur Changez Khan ki bhumika mein hero Riz Ahmed flawless hain. Amitabh Bachchan Gatsby mein sirf ek scene mein aate hain aur purre screen par chha jate hai. Reluctant Fundamentalist mein Shaban Azmi aur Om Puri hero ke maa baap ki bhumika nibhate hain.
The Great Gatsby sapnon ki tarha sundar aur kanch ki tarha nazuk - Reluctant Fundamentalist haqeeqat hain isliye disturbing hai, magar ashavadi bhi.
Dono filmein apne genre mein extra-ordinary hain aur dono ko Big Entertainment Ratings milte hai 4 stars.
************************************************************************************
Cocktail of Don & Do Kaliyaan..!
Yash Raj Films ki Aurangzeb, waise toh kahani hai do beechde bhaiyon ki, magar iske ke alava, film mein bohat saare parallel tracks chalete hain.
Aurangzeb ko hum family drama keh sakte hai, ya phir corporate world mein badhta corruption ka expose!
Writer director Atul Sabharwal police /politics aur business world par sawal uthate hain aur action genre ko realistic formula mein pesh karte hain. Isiliye film hero centric hote hue bhi, baki characters, chahe wo sirf ek scene mein Anupam Kher ho ya do scene mein Deepti
Naval ko ahmiyat deti hain.
Film ka plus, film ki likhawat, anokhi casting jaise Jackie Shroff - Amrita Singh ki pairing aur Arjun Kapoor ki maa ki bhumika mein Tanvi Azmi hain.
Saare performances competent hai, nayi ladki -Sasha Aagha - Ghulam ki Rani Mukherjee ki yaad dilate hai. Aiyya ka hero, Prithvi aaj ka angry young man hai aur Rishi Kapoor itne dashakon ke bawajood bhi hume surprise karte hain!
Arjun Kapoor agar Ajay ke roop mein baahosh aur besharam hain, toh Vishal ki bhumika mein khuddaar aur samajhdar hain.
Film ka minus, film ki slow taking hai, jo ek hi sur mein Gurgaon aur Delhi ke ird gird ghoomti hain. Bohat saare kirdaar hain, aur sabki apni back stories bhi.
Aurangzeb ab tak ki bani double role filmon ka mishran hai, kuch Don aur kuch Do Kaliyaan se churati hai, isliye thodi lambi hai, magar kuch alag hai.
Aurangzeb ko Big Entertainment Ratings milte hai 3 stars.
Bhawana Somaaya/ www.bhawanasomaaya.com
No comments:
Post a Comment