Friday 24 January 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 271



Salman is Jai Ho
24.01.14
Sohail Khan produced- directed Jai Ho ek bahdur Major Jai Agnihotri ki kahani hain,  jo fauj se darkhas hone ke baad apni aur sab ki ladai khud ladta hain.
Murdugoss aur Dilip Shukla likhi Jai Ho typical masala film hain jahan sab kuch dhoom dhadake aur naach gaane ke saath hota hain...
Isliye ek akela hero 100 aadmiyon ko ek baar nahi, baar baar peetta hain.
Ladki ko uss se pehli nahi, doosri nazar mein pyaar ho jaata hain.
Aur dil uska aaj bhi apni maa aur behan ke liye dhadakta hain.
Jai Ho ke ek nahi anek minus points hain – film lengthy hain, plot restricted hain, sequences repetitive, violence exaggerated aur characters illogical.
Jaise fauj chodne ke baad Jai garage mein kyon kaam karta hain…?
Army officer Sunil Shetty kiski parwangi se tanker sadkon par ghumate hain…?
Aur kuch plus points hain jaise Tabu , Daisy Shah,  choreography, action aur Salman Khan.
Magar iss baar, ye regular yardstick mayne nahi rakhti. 
Mayne rakhta hain film ki soch, film ki neeyat, film ka sandesh
Film ki soch hain ke aam aadmi ek sota hua sher hain!
Film ki neeyat hain ek aadmi chahe toh disha badal sakta hain!
Film ka sandesh hain ke Thank You mat bolo, teen insaanon ki madad karo toh desh badal jayega!
Jai Ho ko ek jagruti lane ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.
Bhawana Somaaya/ @ bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment