Friday 20 February 2015

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 533

Badlapur: Varun sizzles, Nawaz sparkles
20/2/2015

Dinesh Vijan produced aur Sriram Raghavan directed Badlapur  kahani hain Raghav/ Varun Dhawan aur Misha/ Yami Gautam ki jo apni zindagi mein behad khush hain, jab achanak, ek haadsa sab kuch badal deta hain.

Film ke promotions mein bataya gaya hain ke film ka opening scene important hain, balke film ka attraction film ka beginning aur film ka end hain.

Iske alava film ke authentic locations aur saare kirdaar, jaise ek naye roop mein Divya Dutta aur Jhilmil ki bhumika mein shaant aur suljhi hui Huma Qureshi.

Film ka minus film ka overtly negative plot, violent narrative aur ek hi sur mein chalne wali kahanai.

Writer Sridhar Raghavan badle ki bhavna mein kuch iss tarha se kho jaate hain ki baaki rishtey ko bikul bhul jaate hain.

Rahav 15 saal agyaat vaas mein bitata hain aur kissi ko nahi milta ,magar Raghav ka pariwar/dost/ professional contacts usse kabhi kyon contact nahi karte?

Mana ki sadma logon ko badal deta hain, magar aise extreme reactions bagair medical history illogical hain!

Aur ek baat, agar jail mein basse accused ke welfare liye NGO hain toh victim ke liye psychiatric treatment kyon nahi hain?

Duvidha ye hain ki aisi film ke 10 reel tak maar peet/khoon kharaba  dikhane ke bad aapko aakhri reel mein gyaan de toh kya isse hum positive film kahenge?

Faisla aap ko karna hain.

Sawal  ye hain ki kya Badlapur dekhni chahiye, bilkul dekhni chahiye, Varun Dhawan ke angry man performance liye aur Nawazudin Siddiqui ke master craft ke liye.

Jab Nawaz screen par hain aap uske alava kuch nahi dekh sakte ho!

Badlapur ko Big Entertainment Ratings milte hain 2.5 stars.
Bhawana Somaaya / @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment