Friday 19 July 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 154

Three releases this week aur ye hai mera Friday ka faisla
19/7/13 - Mumbai

Ship is different

Kiran Rao produced aur Anand Gandhi directed Ship of Theseus teen kahaniyon ki ek film hai.

Pehli, ek vision impaired photographer ki, jo dil se tasveeeein kheechti hain…


Doosri, ek sant ki, jo zindagi vishwas aur ussulon pe jeeta hain...
Teesri, ek stockbroker ki, jo paise ke uttar chadhav ke sath saath, sachai ki khoj mein hain...

3 vichar, 3 kirdaar, 1 writer.

Ship of Theseus film nahi anubav hai –shant –anokha - dilchasp.

Ship of Theseus ko Big Entertainment Ratings mile hain 3.5 stars.
*****************************************************************

Powerful DDay

Darr Motion Pictures produced aur Nikhil Advani directed DDay Karachi mein chuppe, India ke most ‘wanted’ criminal ko pakadne ki saazish hain. 

Ye satya ghatnao par adharit – akhbaron mein padhi, news channels mein dekhi aur surkhiyon se prerit screenplay hain.

Film ka subject serious hai isliye treatment bhi sanjeeda hai! Film mein dialogue,music ya vyavhar se koi chichori baat, item number ya manoranjan ke liye action nahi hai.

Kahani sarhad paar ki hain aur katthin paristithiyon mein darshaye gayi hain.

DDay ko hum aatnkwadi ki dastaan, ya shaheedon ki gaatha ya phir adarsh aur jasbaad ka sunghursh bhi keh sakte hain.

Shankar Ehsaan Loy ka music, Niranjan Iyengar ke lyrics – Ritesh Shah ke dialogues aur saare performances: nayi ladki Shirswara, Shruti Haasan, Huma Qureshi, Arjun Rampal ya Irfaan Khan, sabhi extra-ordinary hain!

Magar sab se bahtareen hai, laal chashme ke peeche, Marathi bolte hue Dawood jaise haivan ko insaan banate hue Rishi Kapoor!

Itne saare characters hone ke bawajood, director sab ke saath nyay karte hain.

Kal Ho Na Ho aur Salaame Ishq jaisi romantic films ke baad, Nikhil Advani aap ko stress filled Karachi aur wahan ke mahaul ka luftt karvate hain.

Film hisson mein tanaav poorna hain – iske bawajood, aakhir tak  jakkad ke rakhti hain. Film mein koi  relief nahi hai magar terrorism bhi koi mazak nahi hai!

DDay ko Big Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars.

*****************************************************************

Old fashioned Ramaiya Vastavaiya

Kumar Taurani produced aur Prabhudeva directed 
Ramaiya Vastavaiya, 80 ke dashak ki Maine Pyaar
Kiya
se prerit hai.

Ladka Autralia se hai aur ladki gaon mein palli badi hui hai.

Ladke ki maa ladki ke bhai ko beizzat karti hai isliye ladki ka bhai ladke ki pariksha leta hai.

Jaise purani filmon mein hota tha, ismein comedy/ action/ romantic/ music ke alag alag tracks ke saathPrabhudeva ki choreography aur Jacqueli Fernandes ka item number!

Hero Girish Kumar ko ek perfect launch ke liye sab kuch diya gaya hai- dance – drama -  action - romance aur shandaar promotion.

Iske bawajood baat nahi banti.

Shruti Haasan achi adakara aur dancer ke saath saath naazuk aur sundar hai.

Ramaiya Vastavaiya ko dono behtereen kalakaro ke liye Big Entertainment Ratings milte hai 2 stars.


Bhawana Somaaya / @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment