Friday 12 July 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 149

Jeeyo Milkha
12-07-2013, Mumbai

ROMP produced aur Rakesh Mehra directed Bhaag Milkha Bhaag Olympic athlete Milkha Singh ki kahani hain.

Heroes’ pe film banana waise hi mushkil hain aur zinda heroes ki kahani darshana aur bhi mushkil.

Aaap ko haal hi mein aisi koi film yaad hai, jisse dekhne ke baad, aap ko kahin bhi, koi kami mehsoos nahi hui..?


Aisi koi kahani yaad hain, jis ka har scene, dialogue, har kidar, rishta aur jasbaad  ko izzat aur nyay se pesh kiya gaya..?

Aisa film sangit, jahan soch, awaaz aur shabd ka vishay, sur aur taal ka sahi mano mein sangam hua…?

Aisa performance jahan hero, uski taqat- kamzori, haar-jeet mein aap ko puri shidat aur imandari se shamil kiya ho..?

Bhaag Milkha Bhaag 1935 ke Punjab Brit India mein shuru hoti hain, azaad Hindustan mein pali badhti hai,

Melbourne, Tokyo, UK, Rome aur azaad Pakistan mein ghum kar, Chandigarh ghar lauti hain!

Kehte hain kiMilkha Singh jab har subah daudte thhe, apne pasine ko balti mein boond boond bharte thhe.

Aaj, unpar darshayi gayi film mein, har department mein chotta bade actor, artiste ki mehnat, boond boond nazar aati hain. Farhan Akhtar role ko nibhaye nahi jeeye hain.

Ek scene mein, Pakistan General Milkha ko dua dete hue, kehte hain “ Tum daude nahi, udde ho…!”

Hum writer Prasoon Joshi, actor Farhan Akhtar aur director Rakesh Mehra ko salute karte hue kehte hai “Aap daude nahi udde ho..!”

Bhaag Milkha Bhaag ko, hume dil khol kar hasane aur rulane ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 5 mein se purre 5 stars!!

Bhawana Somaaya / @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment