Friday 26 July 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 159

Quantity over quality
26/07/2013, Mumbai

Iss hafte 11 releases hain. We are reviewing just 2.

Eros produced, Shashant Shah directed Bajate Raho, mushkil samay se guzarte hui Mummyji aur uske pariwar ki kahani hain.

Mummyji yaane Dolly Ahluwalia ke imaandar Bank Manager pati ko fraud mein phasaya jata hain. Iss sadme ko bardasht na karte hue Daddyji guzar jaate hain.

Ab bank unke pariwar se 15 crore ki wasoonli chahte hai aur wo bhi 15 dino mein isliye Mummyji, uska beta Sukhi yaane Tusshar Kapoor, dost Mintoo yaane Vinay Pathak aur Ballu yaane Ranvir Shorey mil kar ek plan banate hain jisme dheere dheere, shamil hote hain aur bhi kirdaar.

Purane zamane mein Manmohan Desai achon ke saath acha aur burro ke saath bura hone wali mazedar film banate thhe.

Bajate Raho aise filmon ka chootte budget mein avtaar hai jo Dilli ki chotti galiyon se nikalkar bade aur rangeen sapne dikhati hai.

Film ka hero Dolly yaane Mummyji hai aur film ka rasilla villan Ravi Kishan yaane Sabharwal hain.

Manmohan Desai ki film mein Amar Akbar Anthony milkar villan ko sabak seekhate thhe. Ismein Mummyji ka pariwar milkar sab ki band bajate hain.

Ye Manmohan Desai ki tarha pot boiler na sahi har kirdaar ko insaan ki tarha pesh karti hai. Film ka best performance Bagha ki bhumika mein Brijendra Kalla ka hai jo har scene mein aap ka dil jeet leta hai.

Bajate Raho ko Big Entertainment Ratings milte hai 3 stars.


************************************************************************

Manish Tiwary directed Isaaq Ganga kinare basse, do dushman pariwar, Kashyap aur Mishra ya yun kahiyye do premee, Rahul aur Bachchi ki kahani hai.

Kashyap aur Mishra jab bhi milte hai goliyon ki bauchaar hoti hai aur unki dushmani mein tadka lagate hain ek,

Varanasi ki police aur doosre, Reti ka Raja urff Lal Salaam ka leader.

Prateik-Amarya refreshing pair hai magar unki prem kahani Romeo Juliet se kosso door hai.

Uttar Pradesh ki bhasha aur muddein se hum wakiff hain aur wohi jhagde fasaad, maara mari ko 2.5 ghante tak bardasht karna mushkil hai.

Iss khoon se lath path Isaaq ko Big Entertainment Ratings milte 1.5 stars.

Bhawana Somaaya / @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment