Friday 5 July 2013

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 144

'Policegiri' is routine 'Lootera' steals your heart!
05/07/13, Mumbai

TP Agarwal produced aur Ravi Kumar directed Policegiri purane aur naye dashakon ka mishran hai.

70s ke dashak ki kahani hai : yaane wohi police- politician nexus jahan Prakash Raj illegal dhahdhon ke malik hai aur Sanjay Dutt police aur goonde ka combo hai.

80s ke dashak ka crime hai : yaane wohi juaa/ sharab/bomb/bar/crime aur corruption. Tab Shahenshah bhes badalkar zarroratmand ke masiah thhe.  Iss baar hero police ka chola pehankar goondagardi karta hai.

90s ke dashak ka stereotyping hain – jaise Muslim baap aur Hindu maa aur ladka ladki ka taqrar ke baad pyaar ho jana.

Aur 2000 ke dashak ka Singham style action hain.

Film ka minus, film ke gaudy sets/costumes/double meaning dialogues aur crowded frames! Har scene mein 100 junior artistes /200 passing public aur 300 dancers hain.

Film ka plus, film ka villain Prakash Raj hai jo boring role ko anokha banate hai. Raj pehle South hero hai jo apni sab Hindi film mein chamakte hai.

Policegiri Sanjay Dutt ke career ki shayad aakhri lead hero film hogi, jisme wo romance/ comedy/ aur action karte hain!

Prachi Desai sundar hai. Policegiri taarif ke bhale hi kabil na ho seeti ke qabil hai.

Policegiri ko Big Entertainment Ratings milte hai 2.5 stars.


************************************************************

Phantom- Balaji produced aur Vikramaditya Motwani directed Lootera O Henry ki story par adharit  1953 ke Kolkatta zamindar pariwar ki kahani hai.

Pakhi, yaane Sonakshi Sinha apne baba ke saath, shant zindagi jeeti hai jabtak archeologist Varun unke dil aur kothi mein hulchul nahi macha deta.

Lootera aise bite hue daurr ki kahani hai, jab zindagi mein thehrav tha – awaaz mein shehad ghulta tha aur rishtey aur rangon se mausam badalte thhe.

Sirf do locations aur kuch ginne chunne characters ko lekar, director Vikramaditya Motwani ek dilchasp kahani mein aap ko bahtareen sangit/ likhawat/ cinematography mein jakkad lete hain.

Aam taur pe kahani mein surprises hona zaroori hota hai –magar Vikramaditya ki khasiyat ye hai ki wo aap ko kahani title mein hi bata deta hai.

Film ka minus film ka leisurely pace hai – ye vintage car ka safar hai toh helicopter mein udne wale isme soch kar jaaiye.

Sach toh ye hai ki Lootera film nahi ek kavita hai, ek aisi kavita jisme kahani ke andar kahani hai aur Sonakshi- Ranveer iss kitab ke paanon ke beech rakhe  sukhhe patton ki yaad hain.

Lootera ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.


Bhawana Somaaya / @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment