Friday 16 May 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 348



Entertainment Entertainment Entertainment
16.05. 2014
 
Himesh Reshamiya likhi , aur Anant Mahadevan directed, The Xpose filmi duniya ke kuch sache, aur kuch fictionalized kisso par adharit kahani hain.
Ye daurr hain swinging 60s ka-  lambi taar wale phones/Impala gaadiyaan/ alishaan theatres/ dusty studios/ rangili partiyaan/still cameramen aur sab se badkar, theatre ke bahar 3 ka 5 bolne wale Black marketers ka.
Ek mashoor abhinetri chatt se girkar ,atmahatya karti hain aur yahan se shuru hoti hain bohat saari kahaniyaan…
Film mein anginat characters hain magar script sabhi characters ke saath insaaf karti hain.
Film ka plus - film ki supporting cast jo jam ke apna jadu dikhate hain.
Ashish Gaikar ki super smooth editing – pata hi nahi chalta Interval kab hota hain.
Film ka look, locations, super-hit music aur sab se shreshth, Bunty Rathore ke hilarious dialogues – agar isse nahi suna toh kuch nahi suna!
 Inke alava naye avtaar mein Yo Yo Honey Singh aur do ubharti, khupsurat heroines Zoya Afroz aur Sonali Raut.
Graveyard se shuru hoti, Paris ki sham mein khatam hoti The Xpose super confident Himesh Reshamiya aur uske  super attitude ka pradarshan hain!
Jiss tarha se Salman Khan ki filmein sirf Salman Khan ki hoti hain, ussi tarha se Himesh Reshamiya ki film bhi sirf Himesh Reshamiya ki hoti hain.
Isliye logic/ facts/ sensibility ko maro goli aur maza lijiye director Anant Mahadevan ka parosa entertainment, entertainment aur entertainment!
The Xpose ko iss surprise packet ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars.
Bhawana Somaaya/@bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment