Friday 2 May 2014

Cutting Chai with Bhawana Somaaya - Day 339



Calling patriots
02.05.14
Karan Arora produced aur Vijay Raaz directed, Kya Dilli Kya Lahore, Hindustan aur Pakistan ki border par ladte hue jawanon ki kahani hain.

Pakistan ka ghayal afsar apne junior Rehman ko Hindustan ki sarhad paar kar ke ek file lane ka aadesh deta hain!
Rehman Ali chupte chupaate, Hindustan ki chowki ke bahar apna derra jama leta hain.
Hindustani chowki ke andar eklauta Samarth jee jaan se Rehman ka samna karta hain.
Jab tak unke paas goliyaan hain dono, goliyaan barsate hain.
Jab goliyaan khatam ho jaati hain, toh dono gaaliyaan baraste hain aur jab gaaliyaan khatam ho jaati hain, tab haar ke, insaniyat se pesh aate hain.
Aur tab, unki baton mein jhalakti hain umangein, dher saari shikayatein aur anginat yaadein…
Ek hi location aur sirf chaar characters par filmayi gayi Kya Dilli Kya Lahore desh premiyon ke liye hain, aise audience ke liye jo Punjabi samajhte hain aur jo Karachi se Kargil ka safar kar chuke hain!
Lead roles mein Mannu Rishi aur Vijay Raaz ap ka dil chhoo lete hain aur Gulzar ke gaane, kavita aur voice-over apke kanon ko sukoon deta hain.
Kya Dilli Kya Lahore ko iss naye prayog ke liye Big Entertainment Ratings milte hain 2.5 stars.
Bhawana Somaaya/ Tweets@bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment