Friday 8 April 2016

Jungle Book must watch - DAY 798



Saal 1967 mein Walt Disney Productions ki American animated film Jungle Book issi naam ki prakhyat kitaab par adharit thi.

Saal1993 mein issi kahani ka Japnese adaptation ko writer Gulzar ne Hindi mein anuvad kiya aur Doordarshan TV ne 52 episodes darshaye.
 
Tab se Chaddi pehankar phool khila hai Mowgli aur uske jungle ke saathi humare dost ban chuke hain.

Ab issi kahani ko naye andaaz aur shaandar scale mein pesh kar rahe hain fillmaker John Favreau.

Kahani sab ko maloom hain – ek chotta bachha jungle mein rehta aur ek din, apno ki talash mein jungle se bahar nikalta hain.

Jungle Book dekhne ki 4 zabardast wajah hain: 1.Film ke visual effects itne kamal ke hai hame lagta hai jaise har pal hum Mowgli ke saath hai.

Jab wo udaas hai toh hum udaas hote hain aur jab wo khush hai toh hum bhi utsahit ho jaate hain.

Jab baarish hoti hai toh hum bheeg jaate hain aur ussi dhoop chalti hai toh hum sookh jaate hain.

Iske alawa film ka bahtareen camera work, locations aur voice overs khas taur par Share Khan ki awaaz mein Nana Patekar aur Babloo ki awaaz mein Irfan Khan.

Mowgli ki bhumika mein chotta Neil Sethi film ke jaan hai

Jungle Book 2D/ 3D/ Hindi aur Angrezi mein release hui hai aur isse pure pariwar (bache, bade, buzurg) ko milkar dekhni chahiye.

Jungle Book ko Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.

Bhawana Somaaya @bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment