Saturday 23 April 2016

Nil Battey Sannata is a delicious entertainer - DAY 809

Color Yellow & Jar Pictures produced Nil Battey Sannata kahani hai 10vi class mein padhti bohat hi zyaada tez aur natkhat Apeksha aur uski hasmukh aur bohat hi mehnati maa Chanda ki.

Film ka plus: film ki anokhi kahani, manmohak kirdaar, ensemble performances aur film ki nek neeyat.
Aam taurpar, ek film mein ek hi mudda hota hai, magar iss film mein, director kahani se na bhatakte hue, khel khel mein, kaii muddein uthati hain.
Jaise, education, parenting, girl child, working class aur sab se badhkar, dignity of labour.
Isse hum rishton ki kahani keh sakte hain, atma-vishwas ki kahani keh sakte hain aur swabhimaan ki kahani bhi keh sakte hain.

Film ka minus: mere hisab se kuch bhi nahi balke nuksan unka hoga jo ye film nahi dekh payenge
Kyon ki wo Swara Bhaskar, Ria Shukla, Ratna Pathak aur Pankaj Tripathi se nahi mil payenge.
Kuch filme humara manoranjan karti hain, kuch hume paath padhati hain aur kabhi kabhi, kuch filme humara nazariya badal deti hai.
Aisi saaf suthri, dil se nikli Nil Battey Sannata ki puri team ko, taaliyon ke saath Big Entertainment Ratings milte hain 4 stars.


@bhawanasomaaya

No comments:

Post a Comment