Friday 22 April 2016

Watch Laal Rang only for Randeep Hooda - DAY 808


Krian Pictures produced aur Syed Ahmed Afzal directed Laal Rang kahani hai government college mein padhte hue Shankar aur uske dost aur saathiyon ki.
Shankar yaane Randeep Hooda blood bank mein duty karte hue, khoon ka dhandha karta hai aur iss jurm mein uska saath dete hain, uske saathi aur uske class fellow.


Film ka plus: film ka powerful subject, Karnal ke khoobsoorat nazaare, 70 ke dashak ke Anil Dhawan ki yaad dilate hue Akshay Oberoi aur  galat angrezi confidently bolti hui Pia Bajpai.

Film ka minus: film lambi hai, dheemi hai aur kuch zyaada hi bikhri hui bhi.
Laal Rang bohat achi film ban sakti thi magar director ne ek hi kahani mein bohat saari kahaniyaan jodkar asal kahani ko kamzor bana diya.
Kaash, kahani dosti, pyaar, pariwar ki galiyon se na guzarti toh shayad laal rang aur bhi nikhar kar aata.
Inn khaamiyon ke bawajood Laal Rang dekhni chahiye Randeep Hooda ke dilchasp kirdaar Shankar ke liye…
Laal Rang ko Big Entertainment Ratings milte hain 3 stars jisme se 1 star sirf Randeep Hooda ke liye hai.

                                                                                 
                                                                                   ***



No comments:

Post a Comment