Friday, 1 April 2016

Ki & Ka is revolutinary - DAY 793

Eros International produced/ R Balki likhi/directed Ki & Ka khoobsurat Kiya yaane Kareena Kapoor aur dilchasp Kabir yaane Arjun Kapoor ki kahani hain.
Kiya corporate duniya ki marketing head hai aur Kabir karodpati baap ka MBA beta...
Dono safar ke dauran milte hain, dosti badhti hai, phir pyaar aur shaadi!
Ab Kiya har subah kaam par jaati hai aur Kabir ghar samabhaalta hai aur ye dono ki marzi se hota hain!
Film ka plus: Cinematography, art design khaas taupar unke ke ghar par bhaagti  rel gaadi.
Film ka bada plus: Refreshing kahani, bahtareen dialogues, detailed charecterizations.

Film ka minu: Plot restricted hai jiski wajah se film ka messege bhi repetitive hai.
Balki ki sabhi filme rishton ke baare mein hai aur niyam todne ke baare mein bhi!!
Cheeni Kum ne ummar ka niyam toda, Paa ne zimmedariyon ka aur Shamaitabh ne srishti ka niyam toda! Ki & Ka gender par sawal uthati hai.

Ye sirf Streeling/Pulling ka vivaad nahi hain, na hi ye unke choices ke baare mein hain, balke ussse bhi aage, humari soch ke baare mein hai!
Balki Hindi cinema ki sadiyon purani chaviyon ko todte hain jiska praman hai Maa ki bhumika mein Swaroop Sampat aur pati ki bhumika mein Arjun Kapoor.
Jaya aur Amitabh Bachchan thodi der ke liye aate hain aur kahanni mein sugandh bhar dete hain!
Kareena Kapoor film ki jaan aur jadoo hai…
Ki aur Ka sab ko dekhni chahiye- ye humari kahani hain, humare badalte samaj aur desh ki kahani hain!

Ki & Ka ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.

@bhawanasomaaya










No comments:

Post a Comment